aj sooraj shayad bina roshni ke nikla tha.......
kyun vo raat ka andhera abhi bekrar tha...
kyun raat ko vo chaand bhi chup gya tha..
kyun vo purnima ki raat amavas ban gyi thi..
kyun aaj is subah main ek ajeeb sa khauf tha ...
kyun aj fool ne murjhane se pehle ek baar socha bhi na thaa...
kyun ishvar ne un gidhon ko bnane se pehle socha na tha..
raunda jb uske shareer ko...ghyal poora samaj hua tha...
insaaniyat bhi khtm hui.....haiwaaniyat ne kadam rkha tha..
raavan ko abhi to mara tha..
sita abhi to bchai thi...frse draupadi ke kapde utar die gye..nirbhya ko kuchl dia gya...aur kisi ko dahej ke lie jala dia gya tha....
rat ko fr sehmi hui nikli thi....
kisi anjaan shaks ke aankhon se bchti hui ....apne kapde theek krti hui...apni ijjat ke lie ldti hui....fr nocha gya tha..
sammaj ke swaalon se...
vo shak se dekhti hui annkhon ne..
vo court main vakeel ke swaalon ne....
rishtedaaro ke tano ne....
nirbhay hi thi vo nirbhaya par jis bhay ne jakda tha...
dard uska dilo ko aj bhi jhakjhor jata h....
fr bhi yeh raat ka andhera abhi bhi hr insaan ko drata h.....
Kadwi sachaii....ur writings ur words👌💕
ReplyDelete